Welcome to Poetry Publishers!
Poetry
News
About the Author
About The Poet
Home
Poetry Control Panel

 

 

 

 

 

 

 


Please enjoy your visit.
 Poetic-Verses  
    211684 Poems Read.

Yun hi Mand Mand Muskayain! (Hindustani)

Miyan Shoukeen...Kahain Tabiyat Bhayee Rangeen...
Yun hi Mand Mand Muskayain...Kahain Jiya Chhand Chhand hua Jaaye...

Hum yun Rokain gar ye Puchain…Ye naya Sha-ur … tis par Bahka guroor
Yeh Gajab Hua Kaise…Yun Fisle jaate ho Kaise Kaise…

Miyan Ki Boli Bawli Hui Re …Kah rahee Sanwli Re
Na Puchiye Kaise Kab Kyun hua…Yeh noor ka suroor tha ya tilismi mantar…
Parkhacche ud Gaye Hain…Ab Hosh Ki Kya Khabar….

Miyan Waqt Hai abhi bhi…Yun Gazal na Ban Jao…thoda sambhal jao…
La-ilaj Fitoor hai…Kisi Haqim ko Bulao…Yeh zakhm Dikhao

Miyan Fusfusaye…thoda Jhallaye…Kya zulm hai…
Kamal hai…Bimari hamari…zakhm hamara…
Parshaan hua jata hai Yeh zamana sara…

Cheerphad Ho rahee hai hamari ek adad muskaan ki
Kya Qatl hi Kar Doge Jab Hum Hans Pade Dil Khol Kay

Laajawab Kar Gayee Do Took ki Boli Re…
Hamne Kaha Ham bhi Dekhenge Kab Tak Kheloge aank Micholi Re

Email Poem

Please Critique This Poem

Excellent Good Average Poor Bad

Comments

Email
(Optional)