Welcome to Poetry Publishers!
Poetry
News
About the Author
About The Poet
Home
Poetry Control Panel

 

 

 

 

 

 

 


Please enjoy your visit.
 Poetic-Verses  
    211696 Poems Read.

Tincture kyun nahin Lagaya! (Hindustani)

Foo! Foo! dekho to zara..
chot lag gayee hai kya
ot main dabee hui koi
Koi Keel Thee Kya
Dekhen Baitho to zara
Parkhen Marz kya bhala

Neem Hakeem ki Dukaan
Marham patti ki zubaan
Gaur se Dekhiye
Kuch aur hi na baat Ho
Nabz bhi jaanchiye
Par unki ek hi zubaan..
aapne tincture kyun nahin lagaya....

Tafteesh Kar Dekhiye
Gar kuch mile Kahin
Tincture bhi laga lenge
Gar pata kya chot ho

First aid zaroori hai
Aisi bhi kya majboori hai
Tincture to laga hi lo
Foo Foo ko band karo
Nahak ki ye aah ooh dafa karo...

Raam Naam Tincture Ka
Ye ilaz Be Sirpair ka
Mareej ko pata nahin
Marj kya hua bhala
Ilaz yun kar rahe
Bina kisi padtaal ke

Sarpat Bhage ham aaye
aise ilaz kaun karaye...
Har marz ki dawa jo tincture theek karaye...

Email Poem

Please Critique This Poem

Excellent Good Average Poor Bad

Comments

Email
(Optional)