Welcome to Poetry Publishers!
Poetry
News
About the Author
About The Poet
Home
Poetry Control Panel

 

 

 

 

 

 

 


Please enjoy your visit.
 Poetic-Verses  
    208701 Poems Read.

Kagaz ki Kashti Dikhi thi Kahin....(Hindustani

Wo Andhi Galiyon main ghoomte hain..Naam nahin pechaante ...Kagaz ki Kashtee dikhi thi Kahin...wahi kinara dhoondhte hain

Kashti ki dagar paani ki lahar...galiyun ki khaak kyun chaan rahe....
Bhisti se pooch lo...Kashti ka Shahar...Manzil ka pata mil jayega...

Kashtee ka gumaan dekhiye ajeeb hi ajeeb hai
Kuch lamha tairne main...Na bheegne ka dar na doobne ka khauff hai...
Ke ye to sunte jayeeye kashti ki zubaani...ki kagaz meri paidayish...par kashti meri aazmayeesh...poori karenge ye khwayeesh ....Bach gaye to armaan kehna na bache to dastaan kehna....

Yeh hausla aaj ka nahin...Shayad darakht e daman se jab nikla...ya phir beej ke junoon se...zid to zid thi...imaan bhi ek tha....seemaon ke pare jana juroor tha....

Door se dikhe kahin...Haath Hila Rokna
apne hisse ka khawab usme bhi jodna
saath gar jo mila samandar bhi naap loge
Baat bhi Banegi aur Sikandar bhi maat khayega...
Kashti to Kashti...aap bhi jeet jayega....

Email Poem

Please Critique This Poem

Excellent Good Average Poor Bad

Comments

Email
(Optional)