Welcome to Poetry Publishers!
Poetry
News
About the Author
About The Poet
Home
Poetry Control Panel

 

 

 

 

 

 

 


Please enjoy your visit.
 Poetic-Verses  
    211632 Poems Read.

Jashn hai Junoon hai...zindagi sukoon hai..

Asar chod jaate ye zindagi ke faasle
phir bhi basar karte ye Bandagi ke hausle
jashn hai junoon hai...zindagi sukoon hai...

kuch yun bhi pi...
kabhi aankhon se li....kabhi saaqi se li
jaam nahin chhodte...Raah nahin modte...
jashn hai junoon hai...zindagi sukoon hai...

Kabhi Nache...Kabhi Nachaya
Kabhi chup...Kabhi shor machaya
Taal Taal saal saal
Jashn hai junoon hai...zindagi sukoon hai...

Jo chhoot gaya...gam nahin
jo le aaye...kam nahin
khaata hai...sanjote hain...
Har byaaj par ...khush hote hain
Jashn hai Junoon Hai...zindagi sukoon hai...

Kal ne aaj se poocha
wo Kal kya Karega
aaj ki sahar jo thee thahar thahar
Boli main jee raheen pahar dar pahar
phir kyun sochon kal toofaan ho ya kahar
wo pahar to aane do hame use batlane do
Jashn Hai Junoon hai...zindgai sukoon hai...

shok kyun manaye...jab zindagi ka shauk hai..
aansoo.oon ki bel ho ...ya khushiyun ki rail ho..
jashn to jashn hai...itna to yakeen hai...
ik aaga hai ... ik peecha hai...
sament lo inhe..Ye sikke bade azzeez hain...
...kuber ko rashq ho...yeh itne Beshkeemtee hain..
Pathar ke nahin...rooh ke noor hain...
Jashn hai..Junoon hai..zindagi sukoon hai...

Email Poem

Please Critique This Poem

Excellent Good Average Poor Bad

Comments

Email
(Optional)