Welcome to Poetry Publishers!
Poetry
News
About the Author
About The Poet
Home
Poetry Control Panel

 

 

 

 

 

 

 


Please enjoy your visit.
 Poetic-Verses  
    211654 Poems Read.

De Taali!  (Hindustani)

Chaudhari ki Thaali…aur Miyan ki Gaali
Nikle De Taali… De Taali ….

Urdu ki Nabz, Par yun Nikale jaise Ho Kabz
Ladi Ladi Zubaan ki yaari …..
...Ghadi Ghadi Labzon ka bhi Qatl e aam Kiya
Ye Miyan Ka Bukhaar…Katoon se Raha Pyaar
Yun pasand e Khaas thee Chaudhary ki Thaali….
Jab Tab Kahe Ye wali Wo Wali
De Taali De Taali…

Chaudhary ke Chappan….Miyan Ka Badappan
Shauk Hai Azeez …Kahain Ghalib Yeh Lazeez
Kabhi mera misra hai…Kabhi meri chaupayee
Yun Dheem Dheem chabaye jaaye shaukeen
Phir bhi yeh Dakaar …Jab aaye Namkeen
Dhondhe Yeh Naali Who Naali
De Taali De Taali

Ek Gassay ka Gussa ho
ya ek Masse ka Masla
Phodna ho Bhanda
Ya phir Koi Tasla
Yeh Jalwa Yeh Jalwa
...Dhaaye Keherwa Keherwa...
Yeh Daali Woh Daali
De Taali De Taali....

Charche Hi Charche Hain
Unke Har Ek Shauk Kay
Talaash Har Kisi Ko Unke Do Took Kay
Ankhiyaan Hon Billori Jab Khayain wo Gillori
Yeh Laali Woh Laali
De Taali De Taali....

Email Poem

Please Critique This Poem

Excellent Good Average Poor Bad

Comments

Email
(Optional)