Welcome to Poetry Publishers!
Poetry
News
About the Author
About The Poet
Home
Poetry Control Panel

 

 

 

 

 

 

 


Please enjoy your visit.
 Poetic-Verses  
    208644 Poems Read.

Mausam Hai...(Hindustani)

Dheema Dheema Jhonka...
Aur Baadlon ne Roka...
Kuch Hosh Hai Tumhe
Yun Baras Rahe Lamhe..

Barasne do Mausam Hai
Rimjhim ya jhamjham
Ya Boond Boond Har Dum
aa rahe gaa rahe yeh kya kam hai...

Aji aao Dekho Yeh Gun
Falak se niklane ka Fun
Kya Bana Kya Fanah
Yeh to Apni Dhun main Rama
Barasne Do Mausam Hai...

Bheegta Bheegata
Doobta Doobota
Aur Gungunati laraz
Khamosh palakon se sahaj
Hai koi lau jo sang hai...
Yun Barsenge Lamhe...Mausam hai...

Sukoon Besukoon
Kahe wo Har Su
thirakata machalta
thaharta fisalta
jab chal diye to kya gam
...Beech Raste haste haste
apni hasti bhi mil jayegi sanam...
Baraste hain...lamhe yun bhi baraste hain..Mausam hai...

nadi main ya naale main
jahan bhi gaye...
wahin ke hue...
barse the...ab beh gaye...ya ruk gaye ..
jahan gaye usike ho gaye...
......Taqdeer nahin badal sake
Taseer badal gaye...
Haan Ye Baraste lamhe...Wo Baraste Lamhe ... Mausam Hai...

Nanhi si jaan
aur itne armaan
samandar ki khwayeesh
sailab se nadaan
banti sanwarti
phir bhi nikalti..
Barasti hai..barasne do....mausam hai....

Email Poem

Please Critique This Poem

Excellent Good Average Poor Bad

Comments

Email
(Optional)